Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

sufi - Topics
Create Your Own App Store

* sufi > Topics


Subject: Poetry
Replies: 115 Views: 7474
6-<< 2-<

hamza21 20.02.12 - 12:50am
Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko faraz
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain *

hamza21 20.02.12 - 12:50am
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho *

hamza21 20.02.12 - 12:51am
Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
Faraz tujh ko na aain muhabbaten karani
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki saaten karani
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani
Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani
Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani
Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani
Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani
Kabhi faraz naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani!!!! *

amanveer 20.02.12 - 12:24pm
wah hamza bhai *

amanveer 20.02.12 - 12:56pm
Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein
aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se
niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
ghalib bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

*

amanveer 23.02.12 - 12:46pm
Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha
Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha
Ye zindagi sirf tum se wabasta hai
Aksar ye baat mjhe bataya karta tha
Us ki baton mein kuch aisa asar tha
Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha
Soney ki fursat kis ko the
Wo mjhe sari raat jagaya karta tha
Bechaini jab had se barh jati the
Wo ji bhar k galae lagaya karta tha
Wo itni muhabbat krne wala badal gaya
Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha *

hamza21 14.07.12 - 12:41am
buhat aalllllaa veer ji *

hamza21 14.07.12 - 12:41am
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz) *

hamza21 14.07.12 - 12:41am
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz) *

hamza21 14.07.12 - 12:42am
Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi
Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi
Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki
Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi
Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha
Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi
Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se
Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi
Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq
Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi
Yaad Aati Hai Door Ki Baatain
Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi
Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin
Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi
Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir
Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi *

hamza21 14.07.12 - 12:43am
Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain
Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain
Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum
Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain
Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain
Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana
Yahaan Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain
Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir
Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain *

hamza21 14.07.12 - 12:43am
Nasir Kazmi

Tanhayi Ka Dukh Gehra Tha
Mein Darya Darya Rota Tha
Ek Hee Leher Na Sambhli Warna
Mein Toofaanon Se Khaila Tha
Tanhaayi Ka Tanha Saaya
Dair Se Mere Saath Laga Tha
Chhor Gaye Jub Saaray Saathi
Tanhaayi Ne Saath Diya Tha
Sookh Gayi Jab Sukh Ki Daali
Tanhaayi Ka Phool Khila Tha
Tanhaayi Mein Yaad-e-Khuda Thi
Tanhaayi Mein Khauf-e-Khuda Tha
Tanhaayi Mohraab-e-Ibaadat
Tanhaayi Manbar Ka Diya Tha
Tanhaayi Mera Paa-e-Shikasta
Tanhaayi Mera Dast-e-Dua Tha
Wo Jannat Mere Dil Mein Chhupi Thi
Jisay Mein Baahir Dhoond Raha Tha
Tanhaayi Mere Dil Ki Jannat..
Mein Tanhaa Hun, Mein TanhaTha! *

hamza21 14.07.12 - 12:43am
Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhor Gayi
Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhor Gayi
Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhor Gayi
Kahan Se Laaye Ab Os Nigaah Ko Nasir ?
Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhor Gayi *

hamza21 14.07.12 - 12:44am
Nasir Kazmi

Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya
Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost
TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya
Din Guzra Tha Bari Mushkil Se
Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya
Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa
Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya
Phir Loog Nazar Se Guzre
Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya
Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin
Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya
Baith Kar Saaya-e-Gul Main Nasir
Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya *

hamza21 14.07.12 - 12:51am
Tu Mera Naam Na Poocha Ker

Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon

Main Teri Soch Mein Shamil Hoon

Main Teri Neend Ka Qissa Hoon

Main Tere Khawab Ka Haasil Hoon

Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon

Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon

Tu Manzar, Main Pas-Manzar Hoon

Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon

Jazbe Ka Koi Naam Nahin

Tu Mera Naam Na Poocha Ker.. *

6-<< 2-<


* Reply
* sufi Forum


Search:
topics replies


* sufi

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store