Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

sufi - Topics
Create Your Own App Store

* sufi > Topics


Subject: Poetry
Replies: 115 Views: 7473
1-> 7->>

hamza21 26.01.11 - 08:53am
Akely pan se darti hoon juda honay se darti hoon,
Meri ankhein batati hain ke main sonay se darti hoon,
Meri ungli pakar lena mujhe tanha nahi karna,
Ye duniya ek mela hai tumhain khonay se darti hoon,
Main hasti hon to ankhon k goshay bheeg jatay hain,
Tumhein maloom hai main is tarha ronay se darti hoon,
Jab se khwab dekha hai mujhe tum chor jaogy,
Main darti hon khwabwon se main ab sonay se darti hoon... *

hamza21 26.01.11 - 08:58am
Itna piyar say chaha jaye to pather b apne ho jate hain faraz,

Na jane ye fani insan itna ana parast kion hay.. *

hamza21 26.01.11 - 04:01pm
wo jo khud pairv-e-ehd-e-wafa krta tha,
mujse milta tha to talqeen-e-wafa krta tha,
us k daman me koi phool nahi mery liye,
jo meri tangi-e-daman ka gila krta tha,
aaj jo usko bulaya to wo gumsum hi raha,
dil dhrkny ki jo awaz suna krta tha,
aaj wo meri har ik baat k ma'ani pochy,
jo meri soch ki tafseer likha karta tha,
uski dehleez pe sadyon se khara hoon,
mohsin,
mujse milne k jo lamhat gina karta tha. *

amnveer 26.01.11 - 04:09pm
Wah bhra *

amnveer 26.01.11 - 04:18pm
kitabo mere fasane dhundte hain..nadan hain gujre jamane dhundte hain.. jb wo thai talash e zindgi b thi.. ab toh maut k thikane dhundte hain.. kal khud he nikala tha apni mehfil se.. ab hue se wo diwane dhundte hain.. musafir bekhbr hai teri ankho se.. tere shehr mein maikhane dhundte hain.. tujhe kya pata ae sitm dhane wale..ham toh rone k bahane dhundte hain.. unki ankho ko yu na dekho FARAZ..naye teer hai nishana dhundte hain. *

hamza21 26.01.11 - 04:18pm
Wohi raaton ki bedaari hai ab tak,
Tamanna ka safar jaari hai ab tak,
Khayal e zabt aur tark e talluq,
Yehi pathar bohat bhari hai ab tak,
Akeli chandni raaton main dil ko,
Sulag uthney ki beemari hai ab tak,
Abhi pichley dinon jo ham pe guzri,
Ussi rut ka nasha tari hai ab tak,
Badan se ho k jo roohan main utri,
Ussi qurbat ki sarshari hai ab tak,
Main hijrat kar to loon chaman sy ,,wasi,,
Par parindon se meri yaari hai ab tak.. *

amnveer 26.01.11 - 04:21pm
yan toh tabeer bta do mere sab khwbo ki..yan koi khwab in ankho ko dikhaya na karo.. tum kisi aur ki kismat mein ho , tum meri nahi..ye agar sach b hai toh muje btaya na karo *

hamza21 26.01.11 - 04:30pm
Talism e ishq tha sab us k sath hone tak,
Khayal e dard na aaya nijaat honey tak,
Mila tha hijar k rastay main subha manind,
Bichar gaya tha musafir say raat honey tak,
Ajeeb rang badalti hay us ki nagri b,
Har ik nehr ko dekha faraat honey tak,
Wo iss kamaal se khelta tha ishq ki bazi,
Main apni fatah samajta tha maat honey tak,
Main usko bhoolna chahu to kya karon,
Wo mujh main zinda hai khud meri zaat honey tak.. *

amnveer 26.01.11 - 04:33pm
ukh fasana nahi k tujh se kahen..dil bhi mana nahi k tujh se kahen.. aaj tak apni bekhyali ka sabab..khud b jana nahi k tujh se kahen.. ek tu harfashana tha magar ab zamana nahi k tujhse kahen..be tarha dil hai, aur tujh se dostana nahi k tujh se kahen.. ai khuda dard e dil hai bakhshish e dost.. ab o dana nahi k tujh se kahen *

hamza21 26.01.11 - 04:53pm
Kabi jo waqt parh jaye
Tumhain mujh se bicharna ho,
Tumhain waday se phirna ho
To beshak dair mat karna,
Mujhy naraz kar daina
Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chal daina
Magar jab lot k ana
Tumhain mitti k teelay par
Main shayad na dikhaai doon,
Magar heraan mat hona
Wahain 2 char qadmon par
Mazaar-e-bekran ho ga
Wahan ik phool rakh daina
Aur ik shama jala daina
Aur apn rukh badal lena
,,AUR APNI SIMT CHAL DAINA.. *

hamza21 26.01.11 - 05:03pm
Abhi jab lout kar phir tum hamare dar pe aye ho,
Ye tum se keh diya kis ne,
K tum bin reh nahh sakte,
K ye dukh seh nahi sakte,
Chalo ye maam laitey hain,
K tum bin ham bohat roye,
Kai ratoon ko na soye,
Magar ek baat hai JANA,
K tum jan-na chaho,
K aisa kion kiya ham ne,
To sun ln ghour se JANA,
Purani ik riwayat dor di ham ne,
Mohabat chor di ham ne,
MOHABAT CHOR DI HAM NE.. *

hamza21 26.01.11 - 05:16pm
Uth uth k kisi ka intizar kar k dekhna,
Kabhi kisi se payar kar k dekhna,
Kaise toot'te hain mohabton k rishty
Ghaltian do char kar k dekhna,
Zindgi ka falsafa samjhna ho to
Barish main kachi diwar khari kar k dekhna,
Nafrat ho jaygi tum ko b dunya se
Mohabat kisi se beshumar kar k dekhna.. *

hamza21 27.01.11 - 04:28pm
Apni haseen aankhon main chupa lo mujh ko
Mohabat agr karte ho to chura lo mujh ko,
Khone ka agr khof hai to meri jan
Dil ki har darkhan main basa lo mujh ko,
Tere har dukh ko seh lain gy hans kar ham
Apnay badan ki chadar agr bana lo mujh ko,
Sahil say pehly chor to na do gy wada karo
Tum abhi aaghaz-e-safar main bata do mujh ko,
Zindagi b tery naam kar doon ga main
Bus chand lamhay apne seeny say laga lo mujh ko.. *

hamza21 27.01.11 - 04:36pm
Yehi zindagi ka ussol hai
Jo bichar gaya ussy bhool ja,
Jo mila hai dil say laga k rakh
Jo nahi mila ussy bhool ja,
Na wo dhoop tha na wo chandni
Na chirag tha na wo roshni
Wo khayal tha koi khuwab tha
Wo tha aaina ussy bhool ja,
Wo jo tery dil k qareeb tha
Wo na jany kis ka naseeb tha
Tujhe hans k usny bhula diya
Tu bhi muskura kar ussy bhool ja.. *

hamza21 27.01.11 - 04:50pm
Dheere se sarkti hay raat us k aanchal ki tarha
Uska chehra nazar aata hay jheel main kanwal ki tarha,
Baad muddat usko dekha to -o-jaan ko yun laga
Pyasi zameen pe jesy koi baras gaya badal ki tarha,
Roz kehta hai seeny pe sar rakh k raat bhar jagaon ga
Sar-e-sham hi mujhe aaj phir sula gaya kal ki tarha,
Mere hi dil ka makeen nikla wo shakhs,,Ghalib,,
Or ham shehar bhar main dhoondtay rahy usay kisi pagal ki tarha.. *

hamza21 27.01.11 - 05:03pm
Rukhsat howa to baat meri maan kr gaya
Apne tamaam dard mere naam kr gaya,
Bichra kuch is ada se k rut hi badal gai
Ik shakhs saray shahir ko veeran kr gaya,
Dilchasp waqia hay k kal ik aziz dost
Apnay mufaad par mujhe qurban kr gaya,
Kitni sudhar gai hai judai main zindagi
Haan wo jafa say mujh pe ye ehsan kr gaya,
Wo jo har aik baat pe kehta tha mujh ko,JAAN,
Wo shakhs aik din mujhe bey ,JAAN, kr gaya.. *

hamza21 27.01.11 - 05:20pm
Raat kat-ti rhai chand dhalta raha
Aatish-e-hijar main koi jalta raha,
Ghar ki tanhaiyan dil ko dasti rahien
Koi bechain karwat badalta raha,
Aas-o-umeed ki shama roshan rahi
Ghar ki dehleez ko koi takta raha,
Raat bhar chandni gungunati rahi
Raa bhar koi tanha sisaka raha,
Ashk palkon pe aa k bikharte rahe
Naam lab pe kisi ka larazta raha,
Aaj phir raat basar ho hi gai
Aaj phir koi khud se larta raha.. *

hamza21 27.01.11 - 05:31pm
Teri surat ko nigahon main basa kar rakhon
Dil ye kehta hai tujhe tujh say chura kar rakhon,
Tujhe dekhon tujhe chahon tujhi say pyar karon
Tere rang roop ko main sab say chupa kar rakhon,
Karlo qaid apne dil main tere jivan ko
Tujhe main ishq ki zanjeer pehna kar rakhon,
Koi b jaan na paye teri aankhon ki gehrai
Main tujhe aisi kanwal jheel bana kar rakhon,
Dil ye kehta hai tere baad koi tujh sa na ho
Main tujhe akhri sans tak apna bana kar rakhon.. *

hamza21 30.01.11 - 04:11pm
Nafrton sy dil ko dukhaya or bhool gae
Khushi k lamhon tak sath nibhaya or bhool gae,
Main koi gham ka ansu to na tha ,,hamza,,
Jo ankh sy giraya or bhool gae.. *

hamza21 30.01.11 - 04:22pm
Phir dil ne kaha hai tujhay mangon khuda se
Phir aankhon ne teri deed ki chahat ki hai,
Phir aaj baras gaien aankhain yaad main teri
Phir neend ne aankhon se shikayat ki hai,
Phir lehjay main dukh aan simta hai
Phir aansuon ne aankhon se bagawat ki hai,
Phir woh tera sath yaad aa gaya
Phir dil ne mehsos teri zarorat ki hai.. *

hamza21 30.01.11 - 04:25pm
Ham ko aata hi nahi zakhmoon ki numaish karna
Khud hi rotay hain taraptay hain behltay hain our so jatay hain.. *

hamza21 1.02.11 - 03:38pm
Apni khamosh zindagi main bulana mujh ko
Apne haseen khuwab ki tasveer banana mujh ko,
Main jo pochon tumhara haal-e-dil
To apni har dharkhan ki awaz sunana mujh ko,
Main jo kabhi rooth jaon tum say agar
To bohat pyar say manana mujh ko,
Jo kabhi ho dil main hasrat tumhari koi
Be-jhijak apni har hasrat batana mujh ko,
Jo ho jao zindagi main tanha kisi pal
Apni pyar bhari awaz say bulana mujh ko.. *

hamza21 1.02.11 - 03:43pm
Bohat purani dushmani hai naseeb ki meri zaa say
,,Hamza,,
Khush naseeb hain wo log jin k apnay juda nahi hotay.. *

hamza21 1.02.11 - 03:54pm
Shaam dhal chuki hai barsat ho rahi hai
Mehfil-e-dil main aaj phir us ki baat ho rahi hai,
Mere khawab-o-khiyal pe phir us ka qabza ho gaya hai
Zindagi phir say meri be-jazbat ho rahi hai,
Rooh mere jisam ki khain khenchi ja rahi hai
Mujh say yuon parai meri zaat ho rahi hai,
Har tarf laga diya he us ki yad ne pehra
Phir bohat mushkil say basr raat ho rahi hai,
Kiya bataon ussay apne dil ki halat main Hamza
Ajib c kefiyat mere sath ho rahi hai.. *

hamza21 1.02.11 - 04:07pm
Mat poch ham se apni yadon ka aalam dost


Saari saari raat sitaron se tera zikar kia karte hain... *

hamza21 3.02.11 - 02:35pm
Mohabbat phool hai jana
kaho to phool ban jaon,
Tumhari zindgi ka ek haseen asool ban jaon
Suna hai rait pe chal k tum aksar mehak jaty ho
Kaho to ab ki baar main zameen ki dhool ban jaon,
Bohut nayab hotay hain jinhe tum apna kehte ho
Ijazat do to main bhi is qadar anmool ban jaon.. *

hamza21 3.02.11 - 07:52pm
Wehshat kahen ussey ya mere paon ki talab,
Uski taraf hi le gya har rasta mujhe.. *

hamza21 4.02.11 - 12:16pm
Nahi fursat yaqeen mano mujhay kuch our karnay ki

Teri yadain teri batien bohat masroof rakhti hain.. *

hamza21 4.02.11 - 12:45pm
Is shehr-e-sitamgr main wafa dhoond rahe hain
Nadaan hain ham b k ye kya dhoond rahe hain,
Ham log muqadar k sikandar to nahi hain
Kya soch k phir aab-e-baqa dhoond rahe hain,
Khamosh fizaon main ye bechain parinde
Is habs k mosam main hawa dhoond rahe hain,
Jo dil se nikalte hi tere qalb ko chu le
Ham log wohi harf-e-dua dhoond rahe hain,
Ek shakhs ne maanga tha kbi ham ko dua main
Us shakhs ko ab tak ba-khuda dhoond rahe hain.. *

hamza21 4.02.11 - 12:49pm
Nafrton say dil ko dukhaya our bhool gae
Khushi k lamhon tak sath nibhaya our bhool gae
Main koi gham ka ansu to na tha,
Saqi,,
Jo ankh say giraya our bhool gae.. *

hamza21 4.02.11 - 11:02pm
Paida rah-e-khalus me dushwariyan na kar
Chahat nahi ham se to adakariya na kar,
Lafzo se khelnay ki zarorat nahi tujhay
Saada dilon k sath ye funkariyan na kar,
Jin se nahi lagao unhain moun b na laga
Bewaja har dukaan se khridariyan na kar,
Tu shaakh-e-gul hai koi amar bail to nahi
Wabasta har shajar se wafadariyan na kar,
Taaza hai dil pe daagh agar pehli maat ka Hamza
Phir doosri shikast ki tyariyan na kar.. *

hamza21 4.02.11 - 11:49pm
(SULTAN BAHOO)

Rah de wich khalona okha
Apna ap lakona okha
Eni wadh gai dunya dari
Kalyan beh k rona okha
Dagh mohabat wala,
BAHOO,,
Lag javay te dhona okha.. *

hamza21 5.02.11 - 03:11pm
Koj onj wi rahwaan okiyaan san
Koj gal wech gham da touq wi si
Koj shahar de log wi zaalam san
Koj saanoon maran da shouq wi si...! *

amnveer 7.02.11 - 11:13am
Wah hamza bhai *

hamza21 8.02.11 - 06:34pm
shukriya veer bhai *

hamza21 8.02.11 - 06:42pm
(SULTAN BAHOO)

Kujh bughz di reet vich nai milda
O'haar te jeet vich nai milda
Makhlooq-e-khuda naal pyar te kar
Rab sirf maseet vich nai milda.. *

hamza21 22.02.11 - 01:37pm
Phir dil ne kaha hai tujhay mangon khuda se
Phir aankhon ne teri deed ki chahat ki hai,
Phir aaj baras gaien aankhain yaad main teri
Phir neend ne aankhon se shikayat ki hai,
Phir lehjay main dukh aan simta hai
Phir aansuon ne aankhon se bagawat ki hai,
Phir wo tera sath yaad aa gaya
Phir dil ne mehsos teri zarorat ki hai.. *

hamza21 22.02.11 - 01:42pm
Ham ko aata nahi zakhmon ki numaesh karna,

Khud he rotay hain
Taraptay hain
Behal jatay hain.. *

hamza21 22.02.11 - 01:53pm
Harf-e-Ranjish pe koi baat bhi ho sakti hai
Mumkin hai mulaqaat bhi ho sakti hai,
Zindagi phool hai khushbu hai magar yaad rahe
Zindagi gardsh-e-halaat bhi ho sakti hai.
Ham ne ye soch k rakha tha qadam gulshan main
Lala-o-gul main teri zaat bhi ho sakti hai,
Chaal chalte howe shatranj ki baazi k asool
Bhool jao gay to phir maat bhi ho sakti hai,
Aik to chhat k bina ghar hai hamara
Us pe ye khouf k barsaat bhi ho sakti hai. *

hamza21 1.03.11 - 05:17pm
March ki pehli shaam meray doston k naam
Ulfat bhara salaam meray doston k naam,
Kuch ko main ne manaya
Kuch ne mujhay manaya
Hum ne diye ilzam ek dusray k naam,
Kuch waaday kiye poray
Kuch reh gaey adhuray
Nibhayen gay har rishta ehd-e-wafa k naam,
Chalti rahay ye dosti ta dam-e-ikhtitam
Mera hay ye pegham meray doston k naam,
Kikha hay ye kalam main ne doston k naam..
March ki pehli shaam meray doston k naam.... *

hamza21 1.03.11 - 05:43pm
Humain uss say itni mohabbat hay Faraz,

K barish ki bond bhi ussey choo lay bohat bura lagta hay.. *

hamza21 2.03.11 - 04:02pm
Tanha tanha c raat our tanha tanha se
HUM,
Afsurda afsurda
YADEN
Bheega bheega
MOSAM
Sookhey patton ka
SHOR
Andhery ki
SARGOSHI
Dharkan ki
AAHAT
Qismat se apne
SHIKWAY
Tere ehsas ka atoot
BANDHAN
Tere sath guzray
PAL
Tere loat aanay ki
UMIDEN
Tere rastay pe
NAZAR
Lamha lamha raat ka
DHALNA
Pal pal apne aas ka
TOOTNA
Dil k zakhmon ka gehra hona
phir
TANHA TANHA C RAAT OUR TANHA TANHA SE HUM;;; *

hamza21 11.03.11 - 05:22pm
Ye sard raat,
aawargi aur neend ka bojh,
GHALIB,,
Hum tere shehar main hoty to tere pass chaly aatay.. *

hamza21 11.03.11 - 05:26pm
Kaho us say keh aaiey hum say maslihat kar lay...!!

Hamain mehsos hota hai hum us bin jee nahi saktay.. *

hamza21 11.03.11 - 05:30pm
Haal pochnay say konsa haal theek ho jata hai,
DOST
Tasali-e-dil ho jati hai koi hamara bhi hai.. *

saddat 23.03.11 - 09:22pm
saddat.jpg

I created, inspired by the Hamza21 *

hamza21 3.04.11 - 04:28pm
beautiful saddat bhai *

hamza21 3.04.11 - 04:37pm
Tujhe kiya khaabar teri yaad ne mujhey kaisey kaisey sataa diya,
Kabhi khalwaaton main hansaa diyaa kabhi mehfilloon main rulaa diyaa,
Terey ishq main kabhi youn howa keh namaaz apni kazzaa howi,
Teri aarzoo ney kabhi kabhi mujhey meray rab say millaa diyaa.. *

hamza21 3.04.11 - 04:45pm
Naam us ka lia to uljhen si ho gai
Shayad humein us se mohabat si ho gai,
Wo karta raha badnaam humein logon main
Hamein b mashhoor honay ki adat si ho gai,
Uss k aanay se pehlay sari kaeinat main thi khiza'n
Uss k aanay k bad duniyan main sajawat si ho gai,
Bichartay waqt kehnay laga wo mujh se
Hum ko tum se pyar nahi tha bas shararat si ho gai,
Jab wo bichra to dil ki duniya main MOHSIN
Aisay tofaan utthay keh qayamat si ho gai... *

hamza21 3.04.11 - 04:54pm
Sir-e-sehra musafir ko sitaara yaad rehta hai
Main chalta hoon mujhay chehra tumhara yaad rehta hai,
Tumhara zarf k tum ko mohabbat bhool jati hai
Humain to jisnay bhi hans kar pukara yaad rehta hai,
Safar main aisa mumkin hai main khud ko chor dun lakin
Duaein karne walo'n ka sahara yaad rehta hai,
Mere mola ne mujh ko chahto'n ki saltanat de di
Magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai.. *

hamza21 3.04.11 - 05:14pm
(ALLAMA IQBAL)

Is dasht k sehra ko samandr kar day
Ya meri aankh k har ashk ko pathar kar day,
Ay ALLAH mein aur nahi kuch tujhsay mangta
Meri chadar mere peron k baraber kar day,
Mujhe ghair na le ye aatish-e-dunya kahein
Mujh par apni rehmat ka saya kar day,
Mujhe khaak na kar day meri hasti ka ghuroor
Mujhd mere nafs se moutabar kar day,
Ay ALLAH meri duaon main wo asar kar day
Mangu main tujhsay qatra aur TU samandar kar day.
(Aameen)..
*

1-> 7->>


* Reply
* sufi Forum


Search:
topics replies


* sufi

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store